So if you are going to give an impressive talk on this topic at the school or college level then here you are on the right portal to get the sparking speech on Kashmir Day. Well, it’s our obligation for the nation of Kashmir to express them our attentions and intentions. God said to us that love the nation if we want to get the blessing of God so keeping this ideology under consideration we are here presenting you an artistic picture of Kashmir Day. Through this speech, you will get 1st position if you have a strong and firm voice with hands to wave to express your feelings on each word.
Kashmir Day Speech In Urdu
You are also suggested that you listen to some speeches on YouTube for your-e-Kashmir on 5th February and see how students talk and use to impress the topic in the best way to grab the attention of listeners. Hr aik ki zuban isi bat ka danka krti sunai deti ha. Lekin kia aesa ha? Shayad ap ki awaz “han” ya “G” ki ho lekin agr mery yehi alfaz koi hamara kashmeri behan ya bhai sun ya parh ly to kia uska jawab bhi yehi ho ga? Yakinan nahi! Pakistan ko azad huy aj 70 saal guzar gay or aik pakistani bht fakhar se khud ko pakistani keh kr apni azadi pr itrata ha. Lekin aj b kashmeri awam muhammad bin kasim jesy leader ka intzar kr rahy hn k koi ay jo unhy ghulami, zulm o sitm k andhero se nikal kr azadi ki roshniyo ki trf lay ay. Isi Jazba-e-hakjehti ko zer-e-ghor laty huy aj mane apny alfazo ko youm-e-yakjehti kashmir yani 5 february k lia kalam band kia ha.
Quaid-e-azam muhammad ali jinnah ne jb 1947 ko pakistan hasil kia to muahedy k mutabik Kashmir Pakistan ki sarhad main ty paya. Lekin Hundustan ki sarkar or awam se ye bat kabil-e-bardasht na hui or usi din se aj tk kashmir ko 2 hisso main bant dia gya jo k aj Azad yani makbooza kashmir or doosra jammu kashmir kehlany laga. Insaniyat ki behurmati, be ja zulm o sitam, kanooni hakaik ki khilaf warzi aj bhi indian army ki trf se jammu kashmir main jari o sari ha. Aj bhi hamary kashmeri bhai or behan ghulami ki chakki main pis rahy hn. Lekin aj is tarakki or aman k dor main bhi jb koi kashmeri musalman najaiz nukta ajal ka shikar hota ha to ku koi ba asar o wasook awaz nahi uthai jati ma siway kashmiriyo k pukhta irado or jazbo k?
Is bat main koi 2 ray nahi ha k Kashmir ki Azadi k lia kai jangy lari gaie, mohim chalai gaie, Aqwam-e-Mutahda k tehat bht bar Pakistan or India k drmiyan masla kashmir ko ly kr kai muhdy bhi ty pay lekin india ki chalaki or bayemani hamesha Kashmeri musalmo k hakook ko dabati rahi ha. Kashmeri apni zindgi ko azadi se guzarny main b mohtaj hain or hr waqt kisi maseeha k muntazir hn.
Lehaza aj hamara yeha akhty hony ka maqsad youm e kashmir yani yakjehtiye kashmir he ha. Hakoomati adaro or aala afsaran se apeal ha k koi pukhta ikdam kiye jayn or kashmir ko azad krwaya jay. Is muamly main aam awam ko bhi izhar e yakjehti ki zroorat ha. Ta k jb waha kashmir main koi musalman shaheed ho to us k azeezo or rishtydaro ko ye ahsah rahy k hamary hamdard musalman bhai or behnay hain jo hamari azadi k lia aj bhi syasi jang lar rahy hn.
Or akhir main, ma Quaid ki us awaz ko apk sath buland krna chahu ga k jis main unho he pegham dia k “Kashmir bany ga pakistan” OR “kashmir ki azadi tk kashmeri or pakistani awam ka aik he nara rahy ga “Kashmir ki azadi tk jang rahy ge, jang rahy ge”. Hope you like this page and going to prepare it for your own. You can save the above-written images on your computer. Re-write this speech on your page and you can also add more date or edit this according to your opinion.
No Comments
Visitor Rating: 5 Stars
Visitor Rating: 5 Stars
Visitor Rating: 1 Stars