Sub musalman bhaiyo ko meri taraf se Assalam-O-Alekum. Hum apko yaha pe facebook ka account delete kerne ka tareqa btaye gay. Hum kese facebook ka account delete ker sakte hain? Hum apko pori detail k sath maloomaat fraham kren gay. Agar apka facebook account hai oor koi bunda apko tang kerta hai ya apki profile ko tag kerta rehta hai tu aap us se jaan chura sakte hai. Is ka yehi hul hai k aap jitni jaldi ho sakey apna facebook account hamesha k liye delete ker day oor phir wo apko kabhi nuqsan nahi poncho sakta.
How to Delete Facebook Account in Urdu
Ab apk liye neache wo sari malomaat de di gai hai jis ko aap parh k apna facebook account aasani se delete ker sakte. Di gay points ko mind me rakhe oor is k mutabiq kerte jaye tu phir aap bagair kisi preshani k apna facebook account ker sake gay.
- Sub se pehle aap apna zaati E-mail address likhe jis se aap ne facebook account bnaya hai oor phir aap password dale Is tara apka facebook account khul jaye ga
- Jub apka facebook account khul jaye gat u phir aap dekhe gay k sub se oper 1 star ka nishan bna ho ga, us pe click ker day
- Jub aap us star pe click ker de gay tu apko kuch options nazar aye gay jis me se aap sirf ‘Account Settings’ pe click kre gay oor phir 1 new page aa jaye ga
- Is new page pe sub se ooper left side ki taraf dekhe k apko General k neache Security likha nazar aye ga
- Jaldi se aap Security pe click ker day oor dobara 1 new page aa jaye ga
- Is page pe sub se neache apko Deactivate your account nazar aye ga jis pea a click kre gay
- Ab aap phir 1 new page dekhe gay jis me bohat se option ho gay, aap ne sirf other pe click ker k neache di gai jaga pe koi waja likh day oor akhar pe Confirm pe click ker day
- Is k bad aap se apna password pocha jaye ga wo enter ker day
Ye thy kuch points jis k mutabiq aap apna facebook account hamesha k liye delete kar sakte hai
Note:- Aap ne 30 se 40 din tak apna account dobara kholne ki koshish nahi kerni warna apka facebook account hamesha hamesha delete nahi ho ga.